Sadh Sangat Ji Pyar se kehna Dhan Nirankar Ji
1) Aaj Samagam ke antim din savere General Body ki Meeting mein bhi sabne ardaas kari ki *Baba Ji ke vision ko, Baba Ji ki teachings ko hum aage leke jaayein aur jaisa ye Preet-Pyar waala shaher yahaan basa hua hai, isko jagah-2 hum basa paayein.*
2) Aapne abhi geet bhi suna-
- 'Leke Pyar aaye si, saanu Pyar de gaye,
- Saadi zindagi nu sona kirdaar de gaye’.
- He only ‘Lived to Love’
3) Aapne Avneet Ji ka bhi zikr suna idhar, Guru Bhakti mein hi usne har rishta nibhaaya.* Usne kabhi aana Delhi toh maine kehna bete Baba Ji ko hug karlo, toh haath jodke neeche jhuk jaata tha aur Baba Ji khud apni baaju uske kandhe pe ya uski peeth pe rakh dete the.
4) Ek bachhe ne kuch panktiyaan likh ke bheji -
- Aapki dikhlaayi raaho par safar tey hum kar paayein
- kuch iss tarah sajda-e-ibaadat kar paayein’
*Ardaas karein jaisa Baba Ji ne chaaha, hum sab vaise hi chal paayein.
5) Pichle saal Baba Ji ne Samagam pe kuch panktiyaan boli thi, aap sabko yaad hongi-
‘Zindagi thodi hai har pal mein khush hun,
Kaam mein khush hun araam mein khush hun,
Paneer nahi toh daal mein khush hun,
Gaadi nahi toh paidal hi khush hun,
Aaj dost paas nahi hai toh akele hi khush hun,
Koi naraaz hai toh uski iss ada pe khush hun,
Kal toh beet chukka hai uski meethi yaad mein khush hun,
Kal abhi aaya nahi hai uske intezaar mein khush hun,
Agar ye panktiyaan achhi lagi hon toh jawaab de dena,
Agar jawaab nahi doge tab bhi khush hun.'
6) Baba Ji ka hirdey toh bahut vishaal tha, har haal mein khush rehna jaise unhone sikhaaya hum sab reh paayein
Sadh Sangat Ji Dhan Nirankar