Wednesday, April 5, 2017

Tere ehsaan ka badla nirankari hindi bhakti geet lyrics



Tere ehsaan ka badla chukaya ja nhi sakta,
Karam aisa kiya tune, bhulaya ja nhi sakta

Agar mujhko n tu milta, Mera mushkil guzara tha,
Jo pahucha hai bulandi par, wo ek tuta sitara tha,
Dilo se teri ulfat ko, mitaya ja nhi sakta,
Karam aisa kiya tune......

Meri har saans par data, fakat adhikar tera hai,
Mila jo bhi mila tujhse, mera kya tha kya mera hai,
Tumhe duniya ki daulat se, rijhaya ja nhi sakta,
Karam aisa kiya tune......

Badi uchi teri rehmat, hai choti si jubaan meri,
Tumhe data samjh pau, hai hasti wo kaha meri,
Teri rehmat ko shabhdo me, sunaya ja nhi sakta,
Karam aisa kiya tune......

'Jagat' jivan pe sara ho, yu hi teri inayat ka,
Mujhe ho shauk duniya me, sada teri ibadat ka,
Bina tere to jivan ko, sajaya ja nhi skata,
Karam aisa kiya tune......

No comments :

Post a Comment