Friday, September 25, 2015

Sajda kiya jo maine is dar pe o sajan nirankari punjabi song lyrics

Song Lyrics : Sajda kiya jo maine
Tune : Sara Sara Din tere Bin

Sajda kiya jo maine is dar pe o sajan
Mera mita bharam jo tumhara hua karam
Viraan thi yeh zindgi
Thokar thi dar badar-2
Lachaar tha mai koi
Karta na tha kadar-2
Ashkon se raah thi bhari ujda hua chaman
Mera mita
Apno ki bheed me bhi
Mil naa saki panaah-2
Ulfat se koson dur tha
Kya tha mera gunaah-2
Duniya se zakhm hi mile paya nahi marham
Mera mita
Jine ka sabab aap ne
Mujh ko sikha diya-2
Bhula hua tha raasta
Tum ne dikha diya-2
Khush hoon ke aaj ho gaya sakaar yeh janam
Mera mita

No comments :

Post a Comment